Nazar jhuka ke bhi ,Tera didar karte hain
jane kyun ye khata , har baar karte hain
khwahis-e-arman to kai hain , kahne ko
par chalo khamoshi , me baat karte hain
safar alfaz ka zuban , se nigah karte hai
andaz-e-guftgu ham , ye izaat karte hain
tum hamare dil ki betabiyan ko ,samjho
ham tumhare rah ko ,gulzaar karte hain
ham janke bhi, phir tera eatbar karte hai
na jane kyun par ye khata ,har-bar karte hai..
0 Comments